Re: KANGAN...Wasi Shah's Poetry...! KANGAN
kash main tere haseen hath ka kangan hota...
tu bade pyaar se bade chaao se bade aramaan ke saath...
apni naazuk si kalaai main chadhaatii mujh ko...
aur betaabi se furqat ke KhizaaN lamhon mein...
tu kisi soch mein Dubi jo ghumaati mujh ko....
main tere hath ki Khushbu se mahak sa jata...
jab kabhi mooD mein aa kar mujhe chuma karti...
tere honton ki shiddat se main dahak sa jata...
raat ko jab bhi tu neendon ke safar par jati...
marmari haath ka ik takiyaa banaya karti...
main tere kaan se lag kar kai baten karta...
teri zulfon ko tere gaal ko chuma karta...
jab bhi tu band qaba kholane lagti jana...
apni aaNkhon ko tere husn se khera karta...
mujh ko betaab sa rakhta teri chahat ka nasha...
main teri ruh ke gulashan mein mahkata rahta...
main tere jism ke aaNgan mein khanaktaa rahta...
kuch nahin to yahi benam saa bandhan hotaa...
kash main tere haseen hath ka kangan hota...
__________________ Is trah pehron tujay sochta rehta hun main...!
Meri her saans teray naam likhi ho jesay...!
Last edited by khangirl; 9th July 2008 at 09:45 AM.
|