hum ney jin kay liay rahon main bichhaya tha lahoo
hum sey kehtay hain keh ehd e wafa yaad nahi
zindagi jabr e musalsal ki tarha kaati hai
jaaney kis jurm ki paee hai saza yaad nahi
aao aik sajda karain aalim e madhosh main
log kehtay hain keh saghar ko KHUDA yaad nahi |